20 February 2011

Urdu shayari

Aap ki badd-dua bhi dua bann k lagi,
aapke har gham ne bhi sukoon diya,
hum zinda hai toh yeh jaankar k pyaar se na sahi par,
aapne hume yaad toh kiya…

Hum zindagi se aas kare bhi to kya kare,
Jab tum nahi ho paas, kare bhi to kya kare.
Aansu piye, sharaab piye, zeher bhi to pi liya,
Bujhti nahi hai pyaas, kare bhi to kya kare…
`
Muskurate palko pe sanam chale aate hein,
aap kya jaano kahan se hamare ghum aate hein,
aaj bhi us mod par khade hein,
jaha kisi ne kaha tha ke theron hum abhi aate hein…
`
Thukra ke usne mujhko,
kaha ki muskuraao!
Maine has diya,
aakhir sawal uski khushi ka tha.
Maine khoya woh jo mera tha hi nahi,
Usne khoya wo jo sirf usi ka tha…
`                                                                                                 
Is jahan me mohabbat kash na hoti,
To safar-e-zindagi me mithas na hoti!
Agar milti BEWAFA ko saza-e-maut,
To diwano ki kabre yu udas na hoti!!



Bin Aapke Kuch Bhi Aacha Nahi Lagta,
Ab Mera Wajood Bhi Saccha Nahi Lagta.
Sirf Aapke Deedar K Intezaar Me Kat Rahi Hai Zindagi..,
Varna Kabki Maut Ki Aagosh Me So Jati Ye Zindagi.
Laut Aao K Aapke B’gair Ek Lamha Nahi Kat Ta
Bin Aapke Kuch Bhi Accha Nahi Lagta…



Dil udhaas hai bahut koyi paigaam hi likh do
Tum apna naam na likho, gum-naam hi likh do
Meri qismat mein gham-e-tanhayi hai lekin
Tamaam umr na likho magar ek shaam hi likh do
Zuroori nahi ki mil jaaye sukoon har kisi ko
Sare-e-bazm na aao magar benaam hi likh do
Ye jaanta hoon ki umr bhar tanha mujhko rehna hai
Magar pal do pal, ghadi do ghadi, mere naam hi likh do
Chalo hum maan lete hai ke sazaa ke mustahiq thahre hum
Koyi enaam na likho koyi ilzaam hi likh do

tumhe.n bhuul jaa_uu.N ye hotaa nahii.n
ko_ii vaqt ho dard sotaa nahii.n

na ho jaao bad_naam tum is liye
mai.n ro ro ke daaman bhigotaa nahii.n

ye vo fasl hai jo uge Khud-ba-Khud
ko_ii dard ke biij botaa nahii.n

ye maanaa ke tuufaan kaa zor hai
mai.n ghabaraa ke kashtii Dubotaa nahii.n
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 

Khuda tujhe urooj aisa naseeb kare,

Khuda tujhe urooj aisa naseeb kare,
kay rashk tere naseeb per falak kare,
har more per frishtay hon sath tere,
har ghum per hifazat tairi khuda kare…
       
       
Toote howe khawabon mein haqiqat

Toote howe khawabon mein haqiqat dhundta hoon,
Pathar ke dilon mein mohabbat dhundta hoon.
Naadan hoon mein ab tak yeh bhi nahin samjha,
Bejaan buton mein ibaadat dhundta hoon.
Mere jazbaaton ki keemat yahan kuch bhi nahin,
Beimaani ke baazaron mein sharafat dhundta hoon.
Is ajnabi dunia mein koi bhi apna nahin,
Gairon ki aankhon mein apni surat dhundta hoon.
Umeed ki thi pyar ki bas yehi bhool thi meri,
Girte hue ashkon mein apni hasrat dhundta hoon.
 
 

Ilzam Bewafai Ke

Ilzam Bewafai Ke Unko De Raha Hoon
Shak Ho Raha Hai Mujhko Main Khud Hi Bewafa Hoon
Har Jism-E-Gulfaroshan Ab Markaj-E-Nazar Mein
Tumse Bichad Ke Kitna Aawara Ho Gaya Hoon
Is Sham-E-Bekasi Mein Dil Ki Khabar Nahi
Kab Se Kahan-Kahan Main Aaj Ro Pada Hoon
Is Lamha-E-Khushi Mein Afshana-E-Shab-E-Gham
Kuch Tum Bhi Bhulte Ho, Kuch Main Bhi Bhulta Hoon

Bhoolkar Apna Zamana

 
Voh Ghazal Walon Ka Usloob Samajhate Honge
Chand Kehte Hain Kise Khoob Samajhate Honge
Itni Milti Hai Meri Ghazalon Se Surat Teri
Log Tujhko Mera Mehboob Samajhate Honge
Dekh Kar Phoolon Ke Safhaat Pe Shabnam Kuch Log
Mera Ashko Bhara Maktoob Samajhate Honge
Bhoolkar Apna Zamana Ye Bujurgan-E-Jadeed
Aaj Ke Pyar Ko Mayoob Samajhate Honge

Ik Lamhe Ne

Main So Raha Tha Ki Ik Lamhe Ne Jhinjhod Diya
Salaakh Surkh Thi Jis Tarah Chaha Mod Diya
Sujhayi Kuch Nahi Deta Shiksta* Yaadon Mein
Kisi Ka Chehra Kisi Ke Badan Mein Jod Diya
Bhale Hi Mar Raha Hai Katra Katra Reit Pe Ab
Ye Aab Zinda Tha Dariya Ka Saath Chhor Diya
Siyah Takht Pe Ik Surkh Nukta Fael Gaya
Hawa Ne Udte Parinde Ka Baazoo Tod Diya
Ye Keh Ke Tum Durnayaab** Aur Duniya Gareeb
Mujhe Akela Sammandar Ki Teh Mein Chhor Diya

 

Saamna Aaj Unse

Kuch Na Kuch To Jaroor Hona Hai
Saamna Aaj Unse Hona Hai
Zindagi Aur Maut Ka Matlab
Unko Pana Aur Unko Khona Hai

 
Wafa ka sila 
 
 Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi
Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi
Rakha tha aashiyana-e-dil main chhupa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi
Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tod diya hai to koi baat nahi
Kis kii majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi
 
 
Mujah ye zaib nhe...... 


Mujeh Ye Zid nahi mere Gally ka Haar ho jao
Akhela Chor dena , tum jahaan Be-zaar ho jao
Bhot Jaldi Samajh mein aany lagty ho Zamane ki
Bhot Aasaan ho, thory Bhot dushwaar ho jao
Mulaqakto mein wafa ls liye hona zaroori hai
Ke tum ik Din Judaaee ke liye Tayaar ho jao
Main Kesi Chal chalati Dhoop ke Sehra Se aya hoon
Bas ab Esa karo , Tum Saya-e-Dewaar ho jao
Tumhary paas deny ky liye jhoti Tasali ho
Na Aay Esa Din , Tum isqadar Nadaar ho jao
Tumhy Maloom ho jaye ga Kese Ranj Sehty hai
Meri itni Duaa hai Kaash tum Funkaar ho jao
 
 

SWEET. Powered by Blogger.